Kuch saal pehle jab krantiveer aayi,
Naana ne desh ki sthiti aakdon ke saath batayee
Kaha, "Sau mein se assi beyimaan,
Phir bhi Mera Bharat Mahan!"
Haal hi mein jab Denny ne muavza kiya,
Naana ke statistics ko radd kiya.
Assi ka ab 99 hua,
To lo, yeh desh ka haal hua.
Toh kya hua gar hum beyimaan hai?
Hum kya New Zealand ya Japan hai?
Yeh phalsafa aam insaan ki samajh ke bahar hai
bhai, beyimaani se toh uncha humara-aapka sir hai!
Socho gar beyimaani na hoti toh kya hota?
Yaani bhrashthachaar ka janm hi na hota!
Netaon ka pait khali reh jaata
Adha desh garibi ki rekha se upar aa jata.
sarkar ke paiso se janta mauj karti
Netaon ki tond (paunch) phir tond na rehti.
Par aam aadmi to desh mein hi rehta,
Khata-peeta aur aish karta
Netaon par toh desh ke netrutva ka diyatva hai
(Bhagwan! Inke haathon mein hamara bhavishya hai!)
Tond hone se yeh khate-peete lagte hain
desh ki khadya samasya par parda karte hain.
Yunhi toh desh ka naam roshan hota hai.
Pata nahi logo ko kyun gham hota hai?
Bus ek insaan ka haal behaal hai..
Jise hum kehte "Mussaddilal" hai!

wah wah!! at 1st i thought it was gonna be patriotic in a way.. but it turned out 2 be different!! bohot achhi lagi mujhe kavita!!! :) - Vaidehi
ReplyDeletebahot bahot dhanyavaad :)
ReplyDeleteI rembr u read this to me a long time ago...wah yaadein taaza ho gayi re...Good work!
ReplyDeleteMann khush ho gaya!:D!
ReplyDeletethanks rads... aapse taarif paa kar dil baug baug ho gaya :)
ReplyDeleteNice one niralee.
ReplyDeletenina keep up da good work.superb as usual.:)
ReplyDeletenice one..you seem to be a musaddilal fan...
ReplyDelete