Shahar ki is chaka-chaund mein
Roshni k is baazar-e-aam mein
Aatishbaazi se bhare iss aasman mein
In sab se kayeen dur, ek chand akela baitha tha.
Nayi subah k liye aatur logon se
Naya saal jab kuch itraa raha tha
Ghadi ki ungliyon par jab sab ko woh nachaa raha tha
Aakash k ik kone mein, ek chand akela baitha tha.
Raat bhar jage parantu anant kaal soye,
Sab mein satya dhundhte par khud mein khoye,
Saare un chehron se kayee meelo dur
'Nirbhaya' par chamakta, ek chand akela baitha tha.

Very nice poem. Rajiv
ReplyDelete