Shahar ki is chaka-chaund mein Roshni k is baazar-e-aam mein Aatishbaazi se bhare iss aasman mein In sab se kayeen dur, ek chand akela baitha tha. Nayi subah k liye aatur logon se Naya saal jab kuch itraa raha tha Ghadi ki ungliyon par jab sab ko woh nachaa raha tha Aakash k ik kone mein, ek chand akela baitha tha. Raat bhar jage parantu anant kaal soye, Sab mein satya dhundhte par khud mein khoye, Saare un chehron se kayee meelo dur 'Nirbhaya' par chamakta, ek chand akela baitha tha.